pyar ke khaTTe-miThe name wo likhti hai main paDhta hun
pyaar ke khaTTe-mīThe naame vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
har shab ko jāne-anjāne vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
aaj bhī furqat ke lamhoñ meñ mere naam ke harf-e-adāvat
TeḌhe-meḌhe tirchhe aaḌe vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
maiñ nāzuk ehsās likhūñ to bojh tale vo dab jaatī hai
lafz javāban patthar bāñdhe vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
roz baqā-e-bāham kī tajvīz pe ham ghul-mil jaate haiñ
baiTh ke aksar maut kināre vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
merī ThanDī aah pe vo har tarah samā.at rok chukī hai
lekin apne man kī bāteñ vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
jab us kī tausīf likhūñ to ḳhushbū se ḳhushbū likhtā huuñ
badle meñ nā-zebā ta.ane vo likhtī hai maiñ paḌhtā huuñ
pyar ke khaTTe-miThe name wo likhti hai main paDhta hun
har shab ko jaane-anjaane wo likhti hai main paDhta hun
aaj bhi furqat ke lamhon mein mere nam ke harf-e-adawat
TeDhe-meDhe tirchhe aaDe wo likhti hai main paDhta hun
main nazuk ehsas likhun to bojh tale wo dab jati hai
lafz jawaban patthar bandhe wo likhti hai main paDhta hun
roz baqa-e-baham ki tajwiz pe hum ghul-mil jate hain
baiTh ke aksar maut kinare wo likhti hai main paDhta hun
meri ThanDi aah pe wo har tarah samaat rok chuki hai
lekin apne man ki baaten wo likhti hai main paDhta hun
jab us ki tausif likhun to KHushbu se KHushbu likhta hun
badle mein na-zeba tane wo likhti hai main paDhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.