pyar ki apne baqi yahi nishani hai
pyaar kī apne baaqī yahī nishānī hai
phone meñ terī ik tasvīr purānī hai
ham se pūchho kaise raat bitānī hai
us kā kyā hai us ko baat banānī hai
is se behtar jang ke qisse hote haiñ
jaisī terī merī prem kahānī hai
saath raheñge marte dam tak vā'da thā
yaad hai tum ko vaise baat purānī hai
ek kahānī aisī bhī hai yaad mujhe
jis meñ raajā maiñ huuñ aur tū raanī hai
nā-bīnā hone kā koī ranj nahīñ
ġham ye hai terī tasvīr banānī hai
pyar ki apne baqi yahi nishani hai
phone mein teri ek taswir purani hai
hum se puchho kaise raat bitani hai
us ka kya hai us ko baat banani hai
is se behtar jang ke qisse hote hain
jaisi teri meri prem kahani hai
sath rahenge marte dam tak wa'da tha
yaad hai tum ko waise baat purani hai
ek kahani aisi bhi hai yaad mujhe
jis mein raja main hun aur tu rani hai
na-bina hone ka koi ranj nahin
gham ye hai teri taswir banani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.