pyar ki hai ibtidai intihai ye ghazal
pyaar kī hai ibtidā.ī intihā.ī ye ġhazal
'umr bhar kī ik ġhazal-go kī kamā.ī ye ġhazal
dil-nashīñ hai shabnamī hai ḳhvāb-ālūda hai ye
nashsha-e-mai sī nashīlī ḳhush-numā.ī ye ġhazal
zīrakī hai fikr kī alfāz kī islāh kī
nāzukī ehsās kī bandish ġhinā.ī ye ġhazal
hai faqat alfāz kī qaid-o-rihā.ī ye nahīñ
zehn ke dar band se detī rihā.ī ye ġhazal
rahguzar kī chaah meñ tanhā sā thā apnā safar
rafta-rafta manzil-e-maqsūd laa.ī ye ġhazal
pyar ki hai ibtidai intihai ye ghazal
'umr bhar ki ek ghazal-go ki kamai ye ghazal
dil-nashin hai shabnami hai KHwab-aluda hai ye
nashsha-e-mai si nashili KHush-numai ye ghazal
ziraki hai fikr ki alfaz ki islah ki
nazuki ehsas ki bandish ghinai ye ghazal
hai faqat alfaz ki qaid-o-rihai ye nahin
zehn ke dar band se deti rihai ye ghazal
rahguzar ki chah mein tanha sa tha apna safar
rafta-rafta manzil-e-maqsud lai ye ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.