pyar ki manzilon ka rahbar hai
pyaar kī manziloñ kā rahbar hai
dil na toḌo ki dard kā ghar hai
aadmī ke liye banā sab kuchh
kitnā ehsān aadmī par hai
har nazar husn kī payāmī hai
har qadam par fareb kā Dar hai
dil se bhī haath dho liye maiñ ne
aur ilzām bhī mire sar hai
zindagī maut se nahīñ Dartī
vaqt har baat kā muqarrar hai
kal vafā ke liye tarastā thā
ab ḳhudī se bashar tavangar hai
vo mire dil meñ bas ga.e 'zaidī'
jo na maane unheñ vo kāfar hai
pyar ki manzilon ka rahbar hai
dil na toDo ki dard ka ghar hai
aadmi ke liye bana sab kuchh
kitna ehsan aadmi par hai
har nazar husn ki payami hai
har qadam par fareb ka Dar hai
dil se bhi hath dho liye main ne
aur ilzam bhi mere sar hai
zindagi maut se nahin Darti
waqt har baat ka muqarrar hai
kal wafa ke liye tarasta tha
ab KHudi se bashar tawangar hai
wo mere dil mein bas gae 'zaidi'
jo na mane unhen wo kafar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.