pyar ki tum se iltija ki hai
pyar ki tum se iltija ki hai
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
pyaar kī tum se iltijā kī hai
dil ne kitnī hasīñ ḳhatā kī hai
zulm jin dostoñ ne Dhaa.e haiñ
ham ne un ke liye duā kī hai
un nigāhoñ ko kyā kaheñ qātil
jin meñ ma.asūmiyat balā kī hai
koī aise vafā bhī kyā kartā
aap ne jis tarah jafā kī hai
Dūbte haiñ safīne sāhil par
sab ināyat ye nāḳhudā kī hai
zulf-e-hastī sañvārne ke liye
ham ne koshish to bārhā kī hai
zindagānī se haath dho kar bhī
karne vāloñ ne yaañ vafā kī hai
is zamāne meñ har koī 'manshā'
jaane kyoñ zindagī kā shākī hai
pyar ki tum se iltija ki hai
dil ne kitni hasin KHata ki hai
zulm jin doston ne Dhae hain
hum ne un ke liye dua ki hai
un nigahon ko kya kahen qatil
jin mein masumiyat bala ki hai
koi aise wafa bhi kya karta
aap ne jis tarah jafa ki hai
Dubte hain safine sahil par
sab inayat ye naKHuda ki hai
zulf-e-hasti sanwarne ke liye
hum ne koshish to barha ki hai
zindagani se hath dho kar bhi
karne walon ne yan wafa ki hai
is zamane mein har koi 'mansha'
jaane kyon zindagi ka shaki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.