pyar mein usne to danista mujhe khoya tha
pyaar meñ us ne to dānista mujhe khoyā thā
jaane kyuuñ phir vo akele meñ bahut royā thā
us ko bhī niiñd nahīñ aa.ī bichhaḌ kar mujh se
āḳhirī baar vo bāñhoñ meñ mirī soyā thā
mere ashkoñ meñ rahā vo bhī barābar kā sharīk
maiñ ne ye bojh akele hī nahīñ Dhoyā thā
raat bhar tujh ko sunātā rahā merā qissa
raat bhar chāñd darīche meñ tire goyā thā
phuul nafrat ke uge haiñ to ta.ajjub kaisā
tum ne ulfat kā koī biij kahāñ boyā thā
ḳhat pe Tapke hue aañsū ye batāte haiñ 'shakīl'
merī tahrīr ko bārish ne nahīñ dhoyā thā
pyar mein us ne to danista mujhe khoya tha
jaane kyun phir wo akele mein bahut roya tha
us ko bhi nind nahin aai bichhaD kar mujh se
aaKHiri bar wo banhon mein meri soya tha
mere ashkon mein raha wo bhi barabar ka sharik
main ne ye bojh akele hi nahin Dhoya tha
raat bhar tujh ko sunata raha mera qissa
raat bhar chand dariche mein tere goya tha
phul nafrat ke uge hain to tajjub kaisa
tum ne ulfat ka koi bij kahan boya tha
KHat pe Tapke hue aansu ye batate hain 'shakil'
meri tahrir ko barish ne nahin dhoya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.