pyar un ko dekh kar be-iKHtiyar aa hi gaya
pyar un ko dekh kar be-iKHtiyar aa hi gaya
JaiKrishn Chaudhry Habeeb
MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb
pyaar un ko dekh kar be-iḳhtiyār aa hī gayā
vo jo aa.e dil mirā dīvāna-vār aa hī gayā
dil mire pahlū se jā.egā na aatā thā yaqīñ
ik nazar dekhā unheñ to e'tibār aa hī gayā
ab gayā un kā tasavvur jī gayā bīmār-e-ishq
shiddat-e-ġham meñ bhī chehre par nikhār aa hī gayā
bujhte bujhte jal uThe phir dīda-o-dil ke charāġh
sard siine meñ umīdoñ kā sharār aa hī gayā
aa.iye dohrā.eñ phir ulfat kī rañgīñ dāstāñ
phir vahī manzil vahī ahd-e-bahār aa hī gayā
bazm meñ aamad huī hai kis taġhāful-kesh kī
tishnagī-e-shauq ke dil ko qarār aa hī gayā
zikr-e-dard-e-dil pe vo bigḌā kiye lekin 'habīb'
lab pe iqrār-e-mohabbat ek baar aa hī gayā
pyar un ko dekh kar be-iKHtiyar aa hi gaya
wo jo aae dil mera diwana-war aa hi gaya
dil mere pahlu se jaega na aata tha yaqin
ek nazar dekha unhen to e'tibar aa hi gaya
ab gaya un ka tasawwur ji gaya bimar-e-ishq
shiddat-e-gham mein bhi chehre par nikhaar aa hi gaya
bujhte bujhte jal uThe phir dida-o-dil ke charagh
sard sine mein umidon ka sharar aa hi gaya
aaiye dohraen phir ulfat ki rangin dastan
phir wahi manzil wahi ahd-e-bahaar aa hi gaya
bazm mein aamad hui hai kis taghaful-kesh ki
tishnagi-e-shauq ke dil ko qarar aa hi gaya
zikr-e-dard-e-dil pe wo bigDa kiye lekin 'habib'
lab pe iqrar-e-mohabbat ek bar aa hi gaya
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 24)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.