pyara sa KHwab nind ko chhu kar guzar gaya
pyara sa KHwab nind ko chhu kar guzar gaya
Rashid Jamaal Farooqi
MORE BYRashid Jamaal Farooqi
pyārā sā ḳhvāb niiñd ko chhū kar guzar gayā
māyūsiyoñ kā zahr gale meñ utar gayā
āñkhoñ ko kyā chhalakne se rokā ġhazab huā
lagtā hai saarā jism hī ashkoñ se bhar gayā
dekhe tah-e-charāġh ghanī zulmatoñ ke daaġh
aur maiñ fuzūn-e-kaif-o-masarrat se Dar gayā
tanhā.iyāñ hī shauq se phir ham-safar huiiñ
jab nashsha-e-junūn-e-rifāqat utar gayā
kūche se bhī jo apne guzartā na thā kabhī
kyā soch kar uThā thā ki jaañ se guzar gayā
māmūlī hai ki sub.h jalātā huuñ ḳhud ko maiñ
hotā ye hai ki roz sar-e-shām mar gayā
ab jis ko jo samajhnā ho samjhā kare to kyā
'rāshid' tirā sukūt ajab kaam kar gayā
pyara sa KHwab nind ko chhu kar guzar gaya
mayusiyon ka zahr gale mein utar gaya
aankhon ko kya chhalakne se roka ghazab hua
lagta hai sara jism hi ashkon se bhar gaya
dekhe tah-e-charagh ghani zulmaton ke dagh
aur main fuzun-e-kaif-o-masarrat se Dar gaya
tanhaiyan hi shauq se phir ham-safar huin
jab nashsha-e-junun-e-rifaqat utar gaya
kuche se bhi jo apne guzarta na tha kabhi
kya soch kar uTha tha ki jaan se guzar gaya
mamuli hai ki subh jalata hun KHud ko main
hota ye hai ki roz sar-e-sham mar gaya
ab jis ko jo samajhna ho samjha kare to kya
'rashid' tera sukut ajab kaam kar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.