pyas bikhri hui hai basti mein
pyaas bikhrī huī hai bastī meñ
aur samundar hai apnī mastī meñ
kitnā nīche girā liyā ḳhud ko
aap ne shaḳhsiyat parastī meñ
kyuuñ kareñ ham zamīr kā saudā
ham bahut ḳhush haiñ fāqa-mastī meñ
kal bulandī pe aa bhī sakte haiñ
ye jo baiThe haiñ aaj pastī meñ
sūfiyāna mizāj hai apnā
mast rahte haiñ apnī mastī meñ
pyas bikhri hui hai basti mein
aur samundar hai apni masti mein
kitna niche gira liya KHud ko
aap ne shaKHsiyat parasti mein
kyun karen hum zamir ka sauda
hum bahut KHush hain faqa-masti mein
kal bulandi pe aa bhi sakte hain
ye jo baiThe hain aaj pasti mein
sufiyana mizaj hai apna
mast rahte hain apni masti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.