pyas bujha sakte ho bhuk miTa sakte ho
pyaas bujhā sakte ho bhuuk miTā sakte ho
aañsū pī kar aglā dhokā khā sakte ho
dil ko jaane vaalā rasta band paḌā hai
aanā hai to bas āñkhoñ tak aa sakte ho
maiñ ik samt huuñ aur bhī samteñ haiñ duniyā meñ
tum jis samt bhī jaanā chāho jā sakte ho
ḳhālī kāñdhe le kar jaane vaalo Thahro
tum bhī mere jitnā bojh uThā sakte ho
jism pahāḌī rasta hai Dhalvān kī jānib
is raste par kitnā aage jā sakte ho
dil kī narm zamīñ meñ sirf mohabbat bo kar
ik mausam meñ Dheroñ dard kamā sakte ho
daulat shohrat lālach ḳhvāhish shauq 'aqīda
apnī marzī kā piñjra banvā sakte ho
pyas bujha sakte ho bhuk miTa sakte ho
aansu pi kar agla dhoka kha sakte ho
dil ko jaane wala rasta band paDa hai
aana hai to bas aankhon tak aa sakte ho
main ek samt hun aur bhi samten hain duniya mein
tum jis samt bhi jaana chaho ja sakte ho
KHali kandhe le kar jaane walo Thahro
tum bhi mere jitna bojh uTha sakte ho
jism pahaDi rasta hai Dhalwan ki jaanib
is raste par kitna aage ja sakte ho
dil ki narm zamin mein sirf mohabbat bo kar
ek mausam mein Dheron dard kama sakte ho
daulat shohrat lalach KHwahish shauq 'aqida
apni marzi ka pinjra banwa sakte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.