pyas jagi kidhar gae dariya
pyaas jaagī kidhar ga.e dariyā
chaḌh gayā din utar ga.e dariyā
thā kaḌā rāsta samundar kā
ho ga.ī shaam ghar ga.e dariyā
ab kafan dhuup kā na mailā kar
marne vaale the mar ga.e dariyā
vo thā sahrā rahā vo apnī jagah
bach ke us se guzar ga.e dariyā
raat aa.ī to merī bastī meñ
ḳhvāb ban kar utar ga.e dariyā
apnī apnī jagah farāz magar
pastiyāñ thiiñ jidhar ga.e dariyā
ret hañstī hai ḳhushk sāhil par
tere tevar kidhar ga.e dariyā
pyas jagi kidhar gae dariya
chaDh gaya din utar gae dariya
tha kaDa rasta samundar ka
ho gai sham ghar gae dariya
ab kafan dhup ka na maila kar
marne wale the mar gae dariya
wo tha sahra raha wo apni jagah
bach ke us se guzar gae dariya
raat aai to meri basti mein
KHwab ban kar utar gae dariya
apni apni jagah faraaz magar
pastiyan thin jidhar gae dariya
ret hansti hai KHushk sahil par
tere tewar kidhar gae dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.