pyas Khaali gilas tanhai
pyaas ḳhālī gilās tanhā.ī
haa.e itnī udaas tanhā.ī
tujh se mil kar hī dil bahal jaa.e
aa zarā mere paas tanhā.ī
bas ke merī udaas āñkhoñ meñ
ho ga.ī mahv-e-yās tanhā.ī
un kī yādeñ pahan ke aa.ī haiñ
mahkā mahkā libās-e-tanhā.ī
apnī āġhosh meñ mujhe le le
tū to hai ġham-shanās tanhā.ī
tere ashkoñ se bujh na pā.egī
merī sadiyoñ kī pyaas tanhā.ī
jab bhī azm-e-safar kiyā 'irfān'
ro paḌī bad-havās tanhā.ī
pyas KHali gilas tanhai
hae itni udas tanhai
tujh se mil kar hi dil bahal jae
aa zara mere pas tanhai
bas ke meri udas aankhon mein
ho gai mahw-e-yas tanhai
un ki yaaden pahan ke aai hain
mahka mahka libas-e-tanhai
apni aaghosh mein mujhe le le
tu to hai gham-shanas tanhai
tere ashkon se bujh na paegi
meri sadiyon ki pyas tanhai
jab bhi azm-e-safar kiya 'irfan'
ro paDi bad-hawas tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.