pyas ne jam ki qimat ko baDha rakkha hai
pyas ne jam ki qimat ko baDha rakkha hai
Syed Qamar Haider Qamar
MORE BYSyed Qamar Haider Qamar
pyaas ne jaam kī qīmat ko baḌhā rakkhā hai
varna kyā jaam meñ talḳhī ke sivā rakkhā hai
ham ko aa kar na Darā sail-e-havā se ai dost
ham ne dīpak ko nahīñ dil ko jalā rakkhā hai
jis kā jo haq hai vo baḳhshā hai barābar ham ne
aañkh meñ aks tirā dil meñ ḳhudā rakkhā hai
maañ ke paivand lage kapḌoñ se dil tang na ho
us ne tere liye malbūs nayā rakkhā hai
dushman-e-habs hai vo qāsid-e-ḳhushbū hai vo
isī nisbat se to naam us kā havā rakkhā hai
merā irfān-e-siyāhī na mukammal ho jaa.e
ek rauzan mire zindāñ meñ khulā rakkhā hai
vahī tūfāñ kā suvāgat kiyā kartā hai 'qamar'
jis ne kashtī ko kināre se judā rakkhā hai
pyas ne jam ki qimat ko baDha rakkha hai
warna kya jam mein talKHi ke siwa rakkha hai
hum ko aa kar na Dara sail-e-hawa se ai dost
hum ne dipak ko nahin dil ko jala rakkha hai
jis ka jo haq hai wo baKHsha hai barabar hum ne
aankh mein aks tera dil mein KHuda rakkha hai
man ke paiwand lage kapDon se dil tang na ho
us ne tere liye malbus naya rakkha hai
dushman-e-habs hai wo qasid-e-KHushbu hai wo
isi nisbat se to nam us ka hawa rakkha hai
mera irfan-e-siyahi na mukammal ho jae
ek rauzan mere zindan mein khula rakkha hai
wahi tufan ka suwagat kiya karta hai 'qamar'
jis ne kashti ko kinare se juda rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.