pyasa hun reg-zar mein dariya dikhai de
pyāsā huuñ reg-zār meñ dariyā dikhā.ī de
jo haal pūchh le vo masīhā dikhā.ī de
har taaza vārid-e-ḳham-e-gesū ko dekh kar
mujh ko phir apnā ahd-e-tamannā dikhā.ī de
qurbat kī aañch aa.ī ki jalne lagā badan
duurī kā daur aaj chamaktā dikhā.ī de
lahje ke loch meñ hai gunāhoñ kī dilkashī
āñkhoñ meñ mābadoñ kā saverā dikhā.ī de
har zāviye ko jism ke ahl-e-nazar kī pyaas
har ḳhat tire badan kā sarāpā dikhā.ī de
chubhte hue libās kā chhantā huā jamāl
but-gar naqāb-e-sang ulaTtā dikhā.ī de
paḌtī hai saat rangoñ pe tere badan kī choT
jo rang tū pahan le vo gahrā dikhā.ī de
kyā kyā haqīqatoñ pe haiñ parde paḌe hue
tū hai kisī kā aur kisī kā dikhā.ī de
ḳhalvat kī anjuman hai vafāoñ kā silsila
kyā zikr-e-ishq husn bhī tanhā dikhā.ī de
is aas ne to apnā safīna Dubo diyā
tūfāñ thame to koī jazīra dikhā.ī de
dariyā pe āñsuoñ ke tujhe DhūñDhtā huuñ maiñ
paanī pe terā naqsh-e-kaf-e-pā dikhā.ī de
har shaḳhs apne aap ta.āqub meñ hai ravāñ
aalam tamām ek tamāshā dikhā.ī de
aao ki dekh aa.eñ farāmoshiyoñ kā shahr
mumkin hai koī apnā parāyā dikhā.ī de
'maḳhdūm' o 'jāmī' aah kahāñ kho ke rah ga.e
arz-e-dakan meñ 'shāz' akelā dikhā.ī de
pyasa hun reg-zar mein dariya dikhai de
jo haal puchh le wo masiha dikhai de
har taza warid-e-KHam-e-gesu ko dekh kar
mujh ko phir apna ahd-e-tamanna dikhai de
qurbat ki aanch aai ki jalne laga badan
duri ka daur aaj chamakta dikhai de
lahje ke loch mein hai gunahon ki dilkashi
aankhon mein mabadon ka sawera dikhai de
har zawiye ko jism ke ahl-e-nazar ki pyas
har KHat tere badan ka sarapa dikhai de
chubhte hue libas ka chhanta hua jamal
but-gar naqab-e-sang ulaTta dikhai de
paDti hai sat rangon pe tere badan ki choT
jo rang tu pahan le wo gahra dikhai de
kya kya haqiqaton pe hain parde paDe hue
tu hai kisi ka aur kisi ka dikhai de
KHalwat ki anjuman hai wafaon ka silsila
kya zikr-e-ishq husn bhi tanha dikhai de
is aas ne to apna safina Dubo diya
tufan thame to koi jazira dikhai de
dariya pe aansuon ke tujhe DhunDhta hun main
pani pe tera naqsh-e-kaf-e-pa dikhai de
har shaKHs apne aap taaqub mein hai rawan
aalam tamam ek tamasha dikhai de
aao ki dekh aaen faramoshiyon ka shahr
mumkin hai koi apna paraya dikhai de
'maKHdum' o 'jami' aah kahan kho ke rah gae
arz-e-dakan mein 'shaz' akela dikhai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.