pyasa jo mere KHun ka hua tha so KHwab tha
pyāsā jo mere ḳhuuñ kā huā thā so ḳhvāb thā
nīñdoñ meñ zahr ghol rahā thā so ḳhvāb thā
kāñTā jo dil ke paar hai tā'bīr hai so ye
sahrā meñ ik gulāb khilā thā so ḳhvāb thā
ik iltijā thī āñkhoñ meñ pathrā ke rah ga.ī
ik 'aks sang-e-dar pe khaḌā thā so ḳhvāb thā
pahle zamīn ḳhaak huī thī ba-sad-niyāz
shab bhar phir āsmān jalā thā so ḳhvāb thā
ik nahr thī jo chīḳh rahī thī bahāv se
lashkar kanār-e-āb khaḌā thā so ḳhvāb thā
bastī kā chashm-dīd akelā gavāh huuñ
kal mere ās-pās ḳhudā thā so ḳhvāb thā
Duubī zavāl-e-shām ke hamrāh har umiid
palkoñ se TuuT kar jo girā thā so ḳhvāb thā
dil ko yaqīñ na zehn ke hadd-e-qayās meñ
jo vāqi'a 'mujībī' huā thā so ḳhvāb thā
pyasa jo mere KHun ka hua tha so KHwab tha
nindon mein zahr ghol raha tha so KHwab tha
kanTa jo dil ke par hai ta'bir hai so ye
sahra mein ek gulab khila tha so KHwab tha
ek iltija thi aankhon mein pathra ke rah gai
ek 'aks sang-e-dar pe khaDa tha so KHwab tha
pahle zamin KHak hui thi ba-sad-niyaz
shab bhar phir aasman jala tha so KHwab tha
ek nahr thi jo chiKH rahi thi bahaw se
lashkar kanar-e-ab khaDa tha so KHwab tha
basti ka chashm-did akela gawah hun
kal mere aas-pas KHuda tha so KHwab tha
Dubi zawal-e-sham ke hamrah har umid
palkon se TuT kar jo gira tha so KHwab tha
dil ko yaqin na zehn ke hadd-e-qayas mein
jo waqi'a 'mujibi' hua tha so KHwab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.