pyasa rakhta hai apne andar bhi
pyāsā rakhtā hai apne andar bhī
kitnā zālim hai ye samundar bhī
ham ne dekhā hai aisā manzar bhī
dekh kar ḳhuun royā ḳhanjar bhī
qatl karne ko āñkheñ kaafī thiiñ
le ke aa.e ho aap ḳhanjar bhī
'aib phir bhī chhupe nahīñ mere
oḌh ke dekhī maiñ ne chādar bhī
poñchhne aañsū kaun aatā hai
ham ne dekhā hai yaar ro kar bhī
kahte haiñ jo 'amal nahīñ karte
aise hote haiñ kyā suḳhanvar bhī
hai faqīrī bhale muqaddar meñ
dil ke lekin haiñ ham sikandar bhī
jab se biivī chalī ga.ī laḌ kar
hañstā rahtā hai mujh pe bistar bhī
mo'jiza ye nahīñ to aur kyā hai
paas dil ke haiñ duur rah kar bhī
she'r kahtā huuñ is liye 'ātif'
zinda rahnā hai mujh ko mar kar bhī
pyasa rakhta hai apne andar bhi
kitna zalim hai ye samundar bhi
hum ne dekha hai aisa manzar bhi
dekh kar KHun roya KHanjar bhi
qatl karne ko aankhen kafi thin
le ke aae ho aap KHanjar bhi
'aib phir bhi chhupe nahin mere
oDh ke dekhi main ne chadar bhi
ponchhne aansu kaun aata hai
hum ne dekha hai yar ro kar bhi
kahte hain jo 'amal nahin karte
aise hote hain kya suKHanwar bhi
hai faqiri bhale muqaddar mein
dil ke lekin hain hum sikandar bhi
jab se biwi chali gai laD kar
hansta rahta hai mujh pe bistar bhi
mo'jiza ye nahin to aur kya hai
pas dil ke hain dur rah kar bhi
she'r kahta hun is liye 'atif'
zinda rahna hai mujh ko mar kar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.