qabil-e-qadr to hai wa dar-e-zindan hona
qābil-e-qadr to hai vā dar-e-zindāñ honā
is pe turra tirī zulfoñ kā pareshāñ honā
saat pardoñ meñ chhupā jauhar-e-tābān-e-jamāl
is pe bhī sāmne ā.īne kā hairāñ honā
kitne aivān-e-falak-bām zamīñ-bos hue
kyā qayāmat hai dil-e-zār kā nālāñ honā
ham ne maanā ki ye hai āb-e-baqā kā mamba'
pahle sābit bhī to ho chashma-e-haivāñ honā
laaj rakhnī hai yahāñ rahne kī jaane vaalo
lāla-o-gul meñ kabhī kuchh to numāyāñ honā
laayā īmān ki 'māhir' bhī hai be-shak shā'ir
aaj hī dekhā hai kāfir kā musalmāñ honā
qabil-e-qadr to hai wa dar-e-zindan hona
is pe turra teri zulfon ka pareshan hona
sat pardon mein chhupa jauhar-e-taban-e-jamal
is pe bhi samne aaine ka hairan hona
kitne aiwan-e-falak-baam zamin-bos hue
kya qayamat hai dil-e-zar ka nalan hona
hum ne mana ki ye hai aab-e-baqa ka mamba'
pahle sabit bhi to ho chashma-e-haiwan hona
laj rakhni hai yahan rahne ki jaane walo
lala-o-gul mein kabhi kuchh to numayan hona
laya iman ki 'mahir' bhi hai be-shak sha'ir
aaj hi dekha hai kafir ka musalman hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.