qabu nahin hawas pe bas mein nazar nahin
qaabū nahīñ havās pe bas meñ nazar nahīñ
vo aa.e aur ga.e mujhe ye bhī ḳhabar nahīñ
un kī navāzisheñ jo mire haal par nahīñ
be-tāb-o-be-qarār huuñ apnī ḳhabar nahīñ
kār-e-jahān-e-'ishq meñ nākāmiyāñ kahāñ
takmīl-e-ārzū to tirī rahguzar nahīñ
tūfān-e-ġham se khel zamāne ke saath saath
manzil kī justujū koī dushvār-tar nahīñ
duniyā-e-ārzū kī har ik shai fareb hai
ye bhī fareb hai ki qarīb-e-nazar nahīñ
aish-o-ḳhushī ke daur-e-guzishta ko bhuul jā
kyā nazm-e-zindagī tire pesh-e-nazar nahīñ
is be-sabab ḳhulūs kā ehsās hai magar
mujh ko to ab yaqīn kisī baat par nahīñ
un kī ‘ināyatoñ pe madār-e-hayāt hai
un ke baġhair raunaq-e-shām-o-sahar nahīñ
manzil kī justujū meñ talavvun fuzūl hai
'bāsit' talāsh-e-rāh koī muḳhtasar nahīñ
qabu nahin hawas pe bas mein nazar nahin
wo aae aur gae mujhe ye bhi KHabar nahin
un ki nawazishen jo mere haal par nahin
be-tab-o-be-qarar hun apni KHabar nahin
kar-e-jahan-e-'ishq mein nakaamiyan kahan
takmil-e-arzu to teri rahguzar nahin
tufan-e-gham se khel zamane ke sath sath
manzil ki justuju koi dushwar-tar nahin
duniya-e-arzu ki har ek shai fareb hai
ye bhi fareb hai ki qarib-e-nazar nahin
aish-o-KHushi ke daur-e-guzishta ko bhul ja
kya nazm-e-zindagi tere pesh-e-nazar nahin
is be-sabab KHulus ka ehsas hai magar
mujh ko to ab yaqin kisi baat par nahin
un ki ‘inayaton pe madar-e-hayat hai
un ke baghair raunaq-e-sham-o-sahar nahin
manzil ki justuju mein talawwun fuzul hai
'basit' talash-e-rah koi muKHtasar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.