qaem wajud-e-ishq se sara jahan hai
qaa.em vajūd-e-ishq se saarā jahān hai
dil hai to kā.enāt kī har shai javān hai
apne lahū se rakkhī hai buniyād-e-zindagī
ham se nizām-e-gulshan-e-hastī meñ jaan hai
har aa.ina hayāt kā dhuñdlā rahā hai aaj
chehroñ pe jaur-e-charḳh kā gahrā nishān hai
daulat-parast hirs-o-havas ke ġhulām haiñ
iflās kī jabīñ pe qanā.at kī shaan hai
jaage na kyoñ hayāt kā pur-shauq qāfila
phir vādī-e-vafā meñ sadā-e-azān hai
jis se ki tīrgī ko milī hai ziyā-e-nūr
vo āftāb saare zamāne kī jaan hai
jalvoñ kī hai numūd pas-e-tūr dekhnā
shāyad nigāh-e-shauq kā phir imtihān hai
'aḳhtar' maiñ phir rahā huuñ zamāne meñ nā-murād
nīche zamīñ hai sar pe mire āsmān hai
qaem wajud-e-ishq se sara jahan hai
dil hai to kaenat ki har shai jawan hai
apne lahu se rakkhi hai buniyaad-e-zindagi
hum se nizam-e-gulshan-e-hasti mein jaan hai
har aaina hayat ka dhundla raha hai aaj
chehron pe jaur-e-charKH ka gahra nishan hai
daulat-parast hirs-o-hawas ke ghulam hain
iflas ki jabin pe qanaat ki shan hai
jage na kyon hayat ka pur-shauq qafila
phir wadi-e-wafa mein sada-e-azan hai
jis se ki tirgi ko mili hai ziya-e-nur
wo aaftab sare zamane ki jaan hai
jalwon ki hai numud pas-e-tur dekhna
shayad nigah-e-shauq ka phir imtihan hai
'aKHtar' main phir raha hun zamane mein na-murad
niche zamin hai sar pe mere aasman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.