qafila yaad ka jis waqt rawan hota hai
qāfila yaad kā jis vaqt ravāñ hotā hai
vahī lamha tirī furqat meñ girāñ hotā hai
un se jab hāl-e-dil-e-zār bayāñ hotā hai
apnā har ashk ravāñ apnī zabāñ hotā hai
'aql kā hotā hai yā dil kā ziyāñ hotā hai
hosh ye ahl-e-mohabbat ko kahāñ hotā hai
sho'la-e-āriz-e-tābāñ ne jalāyā jab se
mujh ko phūloñ pe sharāroñ kā gumāñ hotā hai
jis qadar baḌhtī hai dushvārī-e-manzil apnī
hausla aur buland aur javāñ hotā hai
dair ho ka.aba ho mai-ḳhāna ho sab par ham ko
aap ke naqsh-e-kaf-e-pā kā gumāñ hotā hai
naam jab letā hai 'tanvīr' jigar kā koī
lab pe har rind ke yā-pīr-e-muġhāñ hotā hai
qafila yaad ka jis waqt rawan hota hai
wahi lamha teri furqat mein giran hota hai
un se jab haal-e-dil-e-zar bayan hota hai
apna har ashk rawan apni zaban hota hai
'aql ka hota hai ya dil ka ziyan hota hai
hosh ye ahl-e-mohabbat ko kahan hota hai
sho'la-e-ariz-e-taban ne jalaya jab se
mujh ko phulon pe shararon ka guman hota hai
jis qadar baDhti hai dushwari-e-manzil apni
hausla aur buland aur jawan hota hai
dair ho kaba ho mai-KHana ho sab par hum ko
aap ke naqsh-e-kaf-e-pa ka guman hota hai
nam jab leta hai 'tanwir' jigar ka koi
lab pe har rind ke ya-pir-e-mughan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.