qafile gae phir bhi kuchh ghubar baqi hai
qāfile ga.e phir bhī kuchh ġhubār baaqī hai
diid kā tirī ab tak intizār baaqī hai
dil ko TūTnā hī thā TuuT ke vo bikhrā bhī
haañ magar abhī tak kuchh yādgār baaqī hai
Dūbtī rahī kashtī sāgaroñ kī lahroñ meñ
sāhiloñ pe tum hoñge e'tibār baaqī hai
chāñd ḳhud musāfir hai saath kab talak degā
rahbaroñ kā ab bhī kyuuñ intizār baaqī hai
phuul bikhre rāhoñ meñ hai hasīñ safar lekin
rāste meñ ab bhī kuchh ḳhār-zār baaqī hai
ḳhatm ho hī jā.egī tīrgī ġhamoñ kī ab
sub.h hone vaalī hai intizār baaqī hai
zindagī jo jiinā hai us ke vāste ai 'shād'
Dher saarī ḳhushiyoñ kā ābshār baaqī hai
qafile gae phir bhi kuchh ghubar baqi hai
did ka teri ab tak intizar baqi hai
dil ko TuTna hi tha TuT ke wo bikhra bhi
han magar abhi tak kuchh yaadgar baqi hai
Dubti rahi kashti sagaron ki lahron mein
sahilon pe tum honge e'tibar baqi hai
chand KHud musafir hai sath kab talak dega
rahbaron ka ab bhi kyun intizar baqi hai
phul bikhre rahon mein hai hasin safar lekin
raste mein ab bhi kuchh KHar-zar baqi hai
KHatm ho hi jaegi tirgi ghamon ki ab
subh hone wali hai intizar baqi hai
zindagi jo jina hai us ke waste ai 'shad'
Dher sari KHushiyon ka aabshaar baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.