qanun se hamari wafa do tarah ki hai
qānūn se hamārī vafā do tarah kī hai
insāf do tarah kā sazā do tarah kī hai
ik chhat pe tez dhuup hai ik chhat pe bārisheñ
kyā kahiye āsmāñ meñ ghaTā do tarah kī hai
kis ruḳh se tum ko chāheñ bhalā kis pe mar miTeñ
sūrat tumhārī jalva-numā do tarah kī hai
kāñToñ ko aab detī hai phūloñ ke saath saath
apne liye to bād-e-sabā do tarah kī hai
ḳhush ek ko kare vo kare ek ko nā-ḳhush
mahbūb ek hī hai adā do tarah kī hai
aisā kareñ ki aap kahīñ aur jā baseñ
is shahr meñ to āb-o-havā do tarah kī hai
qanun se hamari wafa do tarah ki hai
insaf do tarah ka saza do tarah ki hai
ek chhat pe tez dhup hai ek chhat pe barishen
kya kahiye aasman mein ghaTa do tarah ki hai
kis ruKH se tum ko chahen bhala kis pe mar miTen
surat tumhaari jalwa-numa do tarah ki hai
kanTon ko aab deti hai phulon ke sath sath
apne liye to baad-e-saba do tarah ki hai
KHush ek ko kare wo kare ek ko na-KHush
mahbub ek hi hai ada do tarah ki hai
aisa karen ki aap kahin aur ja basen
is shahr mein to aab-o-hawa do tarah ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.