qanun to qudrat ka hai wahi insan badalte rahte hain
qānūn to qudrat kā hai vahī insān badalte rahte haiñ
ye hirs-o-havas ke dīvāne har aan badalte rahte haiñ
pahle to ḳhudā ke bande the ab paise ke sab ye bande haiñ
mausam kī tarah se duniyā meñ īmān badalte rahte haiñ
āñkheñ badlīñ phir dil badle tahzīb-o-tamaddun bhī badle
anjām kahāñ hogā us ke imkān badalte rahte haiñ
va.ada thā vafā karne kā kabhī ab jaur-o-jafā kī khaa.ī qasam
is par bhī kabhī pachhtāoge paimān badalte rahte haiñ
pahle to tumhīñ ko chāhā thā ab maut ko bhī ye chāhne lagā
dastūr nirāle haiñ dil ke armān badalte rahte haiñ
kal nāz-o-adā ke tiir chale hai aaj taġhāful kī barchhī
is ko bhī karam samjho 'najma' ehsān badalte rahte haiñ
qanun to qudrat ka hai wahi insan badalte rahte hain
ye hirs-o-hawas ke diwane har aan badalte rahte hain
pahle to KHuda ke bande the ab paise ke sab ye bande hain
mausam ki tarah se duniya mein iman badalte rahte hain
aankhen badlin phir dil badle tahzib-o-tamaddun bhi badle
anjam kahan hoga us ke imkan badalte rahte hain
wada tha wafa karne ka kabhi ab jaur-o-jafa ki khai qasam
is par bhi kabhi pachhtaoge paiman badalte rahte hain
pahle to tumhin ko chaha tha ab maut ko bhi ye chahne laga
dastur nirale hain dil ke arman badalte rahte hain
kal naz-o-ada ke tir chale hai aaj taghaful ki barchhi
is ko bhi karam samjho 'najma' ehsan badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.