qasid-e-dil na sahi dushman-e-jaan bhejta hai
qāsid-e-dil na sahī dushman-e-jāñ bhejtā hai
'ishq ke zimn meñ vo kuchh to yahāñ bhejtā hai
barsar-e-bazm mahak tak se jo aatā nahīñ paas
apnī poshish bhī vo gul bā’d-azāñ bhejtā hai
kis tarah sulh kā imkān barāmad ho bhalā
us ko sar nazr kareñ to vo sināñ bhejtā hai
ruuTh kar bhej bhī detā hai hameñ ḳhud hī se duur
phir vahāñ ḳhud chalā aatā hai jahāñ bhejtā hai
kaun 'ālam hai ḳhudāvand izāla kun kā
maut ke hiile se ham ko tū kahāñ bhejtā hai
us kā ġham kyoñ na uThāveñ ba-sar-o-chashm 'habīb'
bārvar haiñ to hameñ bār-e-garāñ bhejtā hai
qasid-e-dil na sahi dushman-e-jaan bhejta hai
'ishq ke zimn mein wo kuchh to yahan bhejta hai
barsar-e-bazm mahak tak se jo aata nahin pas
apni poshish bhi wo gul ba’d-azan bhejta hai
kis tarah sulh ka imkan baramad ho bhala
us ko sar nazr karen to wo sinan bhejta hai
ruTh kar bhej bhi deta hai hamein KHud hi se dur
phir wahan KHud chala aata hai jahan bhejta hai
kaun 'alam hai KHudawand izala kun ka
maut ke hile se hum ko tu kahan bhejta hai
us ka gham kyon na uThawen ba-sar-o-chashm 'habib'
barwar hain to hamein bar-e-garan bhejta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.