qasid ke hath mujhko ye paigham milta hai
qasid ke hath mujhko ye paigham milta hai
Syed Konain Haider Kazmi
MORE BYSyed Konain Haider Kazmi
qāsid ke haath mujh ko ye paiġhām miltā hai
ab vo kisī se roz sar-e-shām miltā hai
bekār koshisheñ haiñ tujhe bhūlne kī dost
mujh ko har ik jagah tirā hamnām miltā hai
ham donoñ apnī apnī kahānī meñ mar ga.e
hālāt muḳhtalif the par anjām miltā hai
chalnā sañbhal ke shahr-e-mohabbat meñ ki yahāñ
har ek gaam par koī badnām miltā hai
mujh ko vo ishq karnā nahīñ hai mire aziiz
bastī meñ āj-kal jo sar-e-ām miltā hai
ahl-e-junūñ vo log haiñ be-zārī meñ jinheñ
aksar hī dard hone se ārām miltā hai
'kaunain' tere jaisī tabī.at nahīñ milī
aise bahut haiñ jin se tirā naam miltā hai
qasid ke hath mujh ko ye paigham milta hai
ab wo kisi se roz sar-e-sham milta hai
bekar koshishen hain tujhe bhulne ki dost
mujh ko har ek jagah tera hamnam milta hai
hum donon apni apni kahani mein mar gae
haalat muKHtalif the par anjam milta hai
chalna sanbhal ke shahr-e-mohabbat mein ki yahan
har ek gam par koi badnam milta hai
mujh ko wo ishq karna nahin hai mere aziz
basti mein aaj-kal jo sar-e-am milta hai
ahl-e-junun wo log hain be-zari mein jinhen
aksar hi dard hone se aaram milta hai
'kaunain' tere jaisi tabiat nahin mili
aise bahut hain jin se tera nam milta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.