qasid na aawe hai koi nama na aawe hai
qāsid na aave hai koī naama na aave hai
muddat huī hai koī dilāsa na aave hai
us kī taraf se to koī lait-o-la.al nahīñ
lekin hameñ hī ishq vaġhaira na aave hai
mahv-e-safar to ek zamāne se huuñ magar
qaabū meñ us ke shahr kā rasta na aave hai
deve hai jaan murġh-e-tamanna taḌap taḌap
is par bhī us ko lutf-e-tamāshā na aave hai
koshish kiye baġhair sar-e-mai-kada kahāñ
baiThe-biThā.e haath meñ paimāna aave hai
chupke se chhup ke jaave hai bazm-e-ḳhayāl se
us ko to aur koī bahāna na aave hai
jaane ko us galī meñ to jāveñ haiñ saare log
lekin kisī ko lauT ke aanā na aave hai
vo ḳhud hī chal ke aave to ban jaave koī baat
varna ḳhayāl us kā to rozāna aave hai
rokā hai us ko aane se ham ne ki us ke saath
is ghar meñ apnā aave hai begāna aave hai
nikle hue haiñ DhūñDne jis din se ham use
koī pata kahīñ se hamārā na aave hai
tum bhī to us dayār ke āḳhir ko ho liye
jā kar jahāñ se koī dobāra na aave hai
jā.ūñgā ḳhud hī us ko bulāne ke vāste
pyāse ke paas chal ke to dariyā na aave hai
paimāna-e-nigāh-e-sitamgar na ho to phir
'nāmī' kisī sharāb se nashsha na aave hai
qasid na aawe hai koi nama na aawe hai
muddat hui hai koi dilasa na aawe hai
us ki taraf se to koi lait-o-lal nahin
lekin hamein hi ishq waghaira na aawe hai
mahw-e-safar to ek zamane se hun magar
qabu mein us ke shahr ka rasta na aawe hai
dewe hai jaan murgh-e-tamanna taDap taDap
is par bhi us ko lutf-e-tamasha na aawe hai
koshish kiye baghair sar-e-mai-kada kahan
baiThe-biThae hath mein paimana aawe hai
chupke se chhup ke jawe hai bazm-e-KHayal se
us ko to aur koi bahana na aawe hai
jaane ko us gali mein to jawen hain sare log
lekin kisi ko lauT ke aana na aawe hai
wo KHud hi chal ke aawe to ban jawe koi baat
warna KHayal us ka to rozana aawe hai
roka hai us ko aane se hum ne ki us ke sath
is ghar mein apna aawe hai begana aawe hai
nikle hue hain DhunDne jis din se hum use
koi pata kahin se hamara na aawe hai
tum bhi to us dayar ke aaKHir ko ho liye
ja kar jahan se koi dobara na aawe hai
jaunga KHud hi us ko bulane ke waste
pyase ke pas chal ke to dariya na aawe hai
paimana-e-nigah-e-sitamgar na ho to phir
'nami' kisi sharab se nashsha na aawe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.