qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw
qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
MORE BYMunshi Debi Parshad Sahar Badayuni
qātil ke kūche meñ hama-tan jā.ūñ ban ke paañv
mar kar hī taaki so to zarā pā.ūñ tan ke paaoñ
kyūñkar rakhūñ maiñ sair ko andar chaman ke paañv
ik umr se to ho rahe ḳhūgar haiñ ban ke paañv
bhārī haiñ nāzukī se jo mehñdī meñ san ke paañv
kahte haiñ kar diye mire kyuuñ laakh man ke paañv
kyā saath merā dasht-navardī meñ kar sake
do-chār chaukḌī meñ ga.e thak hiran ke paañv
hāthoñ ko hai havā se garebāñ-darī hanūz
sahrā-talab haiñ mar ke bhī andar kafan ke paañv
aanā hai der der to jaanā hai jald jald
raftan ke aur haiñ tire aur āmdan ke paañv
sadme se haath ke kahīñ gaTTā utar na jaa.e
kyūñkar dabā.ūñ us but-e-nāzuk-badan ke paañv
ai dil tū dekh us kī sar-e-zulf meñ na jā
nādāñ hai sar pe jo rakhe kaale ke phan ke paañv
kuchh aaj ye bhī aatā hai rindo piye hue
paḌte haiñ bahke bahke jo sheḳh-e-zaman ke paañv
pahuñchā hai ab to 'sehr' kalām apnā duur duur
shohrat se lag ga.e haiñ hamāre suḳhan ke paañv
qatil ke kuche mein hama-tan jaun ban ke panw
mar kar hi taki so to zara paun tan ke paon
kyunkar rakhun main sair ko andar chaman ke panw
ek umr se to ho rahe KHugar hain ban ke panw
bhaari hain nazuki se jo mehndi mein san ke panw
kahte hain kar diye mere kyun lakh man ke panw
kya sath mera dasht-nawardi mein kar sake
do-chaar chaukDi mein gae thak hiran ke panw
hathon ko hai hawa se gareban-dari hanuz
sahra-talab hain mar ke bhi andar kafan ke panw
aana hai der der to jaana hai jald jald
raftan ke aur hain tere aur aamdan ke panw
sadme se hath ke kahin gaTTa utar na jae
kyunkar dabaun us but-e-nazuk-badan ke panw
ai dil tu dekh us ki sar-e-zulf mein na ja
nadan hai sar pe jo rakhe kale ke phan ke panw
kuchh aaj ye bhi aata hai rindo piye hue
paDte hain bahke bahke jo sheKH-e-zaman ke panw
pahuncha hai ab to 'sehr' kalam apna dur dur
shohrat se lag gae hain hamare suKHan ke panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.