qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat
qātil sabhī the chal diye maqtal se rātoñ raat
tanhā khaḌī laraztī rahī sirf merī zaat
tahzīb kī jo ūñchī imārat hai Dhā na duuñ
jiine ke rakh-rakhāv se miltī nahīñ najāt
ḳhvāboñ kī barf pighlī to har aks dhul gayā
apnoñ kī baat ban ga.ī ik ajnabī kī baat
kāñToñ kī sej par chalūñ sho.aloñ kī mai piyūñ
sañgīn marhaloñ kā safar kaun degā saat
sūraj bhī thak chukā hai kahāñ raushnī kare
virse meñ baT ga.ī hai añdheroñ kī kā.enāt
sargoshī bhī karūñ to bikhar jaa.e ek guuñj
bahroñ ke is hujūm meñ suntā hai kaun baat
jhuñjhlā ke kyuuñ na chhīn luuñ TuuTā hai vo azaab
phir vaqt ghūmtā hai liye dard kī zakāt
qatil sabhi the chal diye maqtal se raaton raat
tanha khaDi larazti rahi sirf meri zat
tahzib ki jo unchi imarat hai Dha na dun
jine ke rakh-rakhaw se milti nahin najat
KHwabon ki barf pighli to har aks dhul gaya
apnon ki baat ban gai ek ajnabi ki baat
kanTon ki sej par chalun shoalon ki mai piyun
sangin marhalon ka safar kaun dega sat
suraj bhi thak chuka hai kahan raushni kare
wirse mein baT gai hai andheron ki kaenat
sargoshi bhi karun to bikhar jae ek gunj
bahron ke is hujum mein sunta hai kaun baat
jhunjhla ke kyun na chhin lun TuTa hai wo azab
phir waqt ghumta hai liye dard ki zakat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.