qaba-e-gard hun aata hai ye KHayal mujhe
qabā-e-gard huuñ aatā hai ye ḳhayāl mujhe
chale havā to kahūñ kis se maiñ sambhāl mujhe
sukūt-e-marg ke gumbad meñ ik sadā ban ke
kabhī hisār-e-ġham-e-zīst se nikāl mujhe
koī bhī raah kā patthar nazar nahīñ aatā
maiñ dekhtā huuñ use hairat-e-savāl mujhe
mire vajūd meñ ik karb ban ke bikhrā hai
ye merā dil ki huā bā.is-e-vabāl mujhe
huuñ zer-e-sañg ravāñ aab kī tarah 'hāmid'
numūd degā mirī fikr kā ubaal mujhe
qaba-e-gard hun aata hai ye KHayal mujhe
chale hawa to kahun kis se main sambhaal mujhe
sukut-e-marg ke gumbad mein ek sada ban ke
kabhi hisar-e-gham-e-zist se nikal mujhe
koi bhi rah ka patthar nazar nahin aata
main dekhta hun use hairat-e-sawal mujhe
mere wajud mein ek karb ban ke bikhra hai
ye mera dil ki hua bais-e-wabaal mujhe
hun zer-e-sang rawan aab ki tarah 'hamid'
numud dega meri fikr ka ubaal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.