qaba-e-jaan ko sar-e-rah tar-tar na kar
qabā-e-jāñ ko sar-e-rāh tār-tār na kar
ye zindagī hai ise nazr-e-intishār na kar
ham ahl-e-dil haiñ mohabbat hamārā sheva hai
hamāre saath siyāsat kā kārobār na kar
judā huā hai to mujh ko na DhūñD rastoñ par
bichhaḌ gayā hai to ab merā intizār na kar
hameñ na dekh hamāre amal kī kar tauqīr
vajūd-e-asl-e-haqīqat ko sañgsār na kar
qubūl ham ko tirī be-ruḳhī kā har andāz
magar tū yuuñ sar-e-bāzār ham pe vaar na kar
uchhāl phir na fazā meñ lahū kī ye būñdeñ
sitam kī teġh ko yāroñ ke dil ke paar na kar
qaba-e-jaan ko sar-e-rah tar-tar na kar
ye zindagi hai ise nazr-e-intishaar na kar
hum ahl-e-dil hain mohabbat hamara shewa hai
hamare sath siyasat ka karobar na kar
juda hua hai to mujh ko na DhunD raston par
bichhaD gaya hai to ab mera intizar na kar
hamein na dekh hamare amal ki kar tauqir
wajud-e-asl-e-haqiqat ko sangsar na kar
qubul hum ko teri be-ruKHi ka har andaz
magar tu yun sar-e-bazar hum pe war na kar
uchhaal phir na faza mein lahu ki ye bunden
sitam ki tegh ko yaron ke dil ke par na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.