qabahat aisi bhi kya hai nazar na aane mein
qabāhat aisī bhī kyā hai nazar na aane meñ
ki din guzār deñ logoñ se muñh chhupāne meñ
khaḌe hue the kahīñ vaqt ke kināre par
phisal ke jā gire ik aur hī zamāne meñ
to itne fāltū ho jaate haiñ ye ḳhvāb ik din
ki pheñk dete haiñ un ko kabāḌ-ḳhāne meñ
ye ek umr meñ jaanā yaqīnī kuchh bhī nahīñ
baqāyā umr kaTī phir yaqīñ dilāne meñ
nikal na paate ġhamoñ ke ġhizā.ī jaal se ham
jo ḳhud-kafīl na hote fareb khāne meñ
machine dekhtī hai sochtī hai boltī hai
hamārā aap kā ab kaam kyā zamāne meñ
dabī huī thī kahīñ lā-shu.ūr meñ 'shāhid'
lagā hai vaqt udāsī ko bāhar aane meñ
qabahat aisi bhi kya hai nazar na aane mein
ki din guzar den logon se munh chhupane mein
khaDe hue the kahin waqt ke kinare par
phisal ke ja gire ek aur hi zamane mein
to itne faltu ho jate hain ye KHwab ek din
ki phenk dete hain un ko kabaD-KHane mein
ye ek umr mein jaana yaqini kuchh bhi nahin
baqaya umr kaTi phir yaqin dilane mein
nikal na pate ghamon ke ghizai jal se hum
jo KHud-kafil na hote fareb khane mein
machine dekhti hai sochti hai bolti hai
hamara aap ka ab kaam kya zamane mein
dabi hui thi kahin la-shuur mein 'shahid'
laga hai waqt udasi ko bahar aane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.