qad-awar logon ka qad hi napa jata hai
qad-āvar logoñ kā qad hī naapā jaatā hai
is duniyā meñ sone ko hī parkhā jaatā hai
tum bāzār meñ aa to ga.e ho lekin dhyān rahe
shaam se pahle bāzāroñ se lauTā jaatā hai
kaise kaise chehroñ se rañg uḌne lagte haiñ
jab bhī ham donoñ ko saath meñ dekhā jaatā hai
apnī haqīqat jānñe vaalā zinda rahtā hai
aur is se muñh moḌne vaalā martā jaatā hai
pyaas nahīñ ehsās kī qīmat sāmne aatī hai
jab jab bhī dariyā ko samundar samjhā jaatā hai
qad-awar logon ka qad hi napa jata hai
is duniya mein sone ko hi parkha jata hai
tum bazar mein aa to gae ho lekin dhyan rahe
sham se pahle bazaron se lauTa jata hai
kaise kaise chehron se rang uDne lagte hain
jab bhi hum donon ko sath mein dekha jata hai
apni haqiqat jaanne wala zinda rahta hai
aur is se munh moDne wala marta jata hai
pyas nahin ehsas ki qimat samne aati hai
jab jab bhi dariya ko samundar samjha jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.