qadam baDhate hue bu-e-be-nishan ki taraf
qadam baḌhāte hue bū-e-be-nishāñ kī taraf
maiñ muḌ ke dekh na paayā thā kārvāñ kī taraf
kisī ko ḳhvāb meñ dekhā hai maiñ ne aate hue
gulāb le ke mire ḳhema-e-ḳhizāñ kī taraf
bichhā thā taḳht-e-shab-e-tīra jis ke āñgan meñ
diyā ravāna kiyā maiñ ne us makāñ kī taraf
khilā huā thā gul-e-intizār sāhil par
aur ik nigāh-e-tajassus thī bādbāñ kī taraf
nazar rahīn-e-gul-e-nau-shagufta thī 'rāshid'
maiñ kaise dekhtā us vaqt bāġhbāñ kī taraf
qadam baDhate hue bu-e-be-nishan ki taraf
main muD ke dekh na paya tha karwan ki taraf
kisi ko KHwab mein dekha hai main ne aate hue
gulab le ke mere KHema-e-KHizan ki taraf
bichha tha taKHt-e-shab-e-tira jis ke aangan mein
diya rawana kiya main ne us makan ki taraf
khila hua tha gul-e-intizar sahil par
aur ek nigah-e-tajassus thi baadban ki taraf
nazar rahin-e-gul-e-nau-shagufta thi 'rashid'
main kaise dekhta us waqt baghban ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.