qadam jab ghar se bahar kanch ke paikar uThate hain
qadam jab ghar se bahar kanch ke paikar uThate hain
Qazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
MORE BYQazi Syed Muhi Ahfaz Shaji
qadam jab ghar se bāhar kāñch ke paikar uThāte haiñ
to phir hāthoñ meñ apne log bhī patthar uThāte haiñ
hamārī naav jo bach kar nikal aa.ī hai tūfāñ se
use ġharqāb karne ab kināre sar uThāte haiñ
maiñ ik majbūr huuñ mazlūm huuñ is shahr meñ shāyad
jabhī to log mujh par uñgliyāñ aksar uThāte haiñ
hamārī zindagī kā hai yahī dar-asl sarmāya
ġhamoñ kā bojh bhī ham roz-o-shab hañs kar uThāte haiñ
yaqīnan ruḳh badal letī haiñ phir sarkash havā.eñ bhī
jo ham apne safīne kā kabhī langar uThāte haiñ
faqat kuchh nuqra.ī sikkoñ kī ḳhātir aaj ahl-e-fan
qalam kis par uThānā thā qalam kis par uThāte haiñ
hazīmat donoñ aalam meñ faqat un kā muqaddar hai
jo bachche sāmne apne baḌoñ ke sar uThāte haiñ
nikalte haiñ jo aañsū dosto chashm-e-nadāmat se
farishte āsmāñ se aa ke ye gauhar uThāte haiñ
jo taqlīd-e-payambar ko shi.ār-e-zindagī kar leñ
maza jiine kā aise log hī behtar uThāte haiñ
qadam jab ghar se bahar kanch ke paikar uThate hain
to phir hathon mein apne log bhi patthar uThate hain
hamari naw jo bach kar nikal aai hai tufan se
use gharqab karne ab kinare sar uThate hain
main ek majbur hun mazlum hun is shahr mein shayad
jabhi to log mujh par ungliyan aksar uThate hain
hamari zindagi ka hai yahi dar-asl sarmaya
ghamon ka bojh bhi hum roz-o-shab hans kar uThate hain
yaqinan ruKH badal leti hain phir sarkash hawaen bhi
jo hum apne safine ka kabhi langar uThate hain
faqat kuchh nuqrai sikkon ki KHatir aaj ahl-e-fan
qalam kis par uThana tha qalam kis par uThate hain
hazimat donon aalam mein faqat un ka muqaddar hai
jo bachche samne apne baDon ke sar uThate hain
nikalte hain jo aansu dosto chashm-e-nadamat se
farishte aasman se aa ke ye gauhar uThate hain
jo taqlid-e-payambar ko shiar-e-zindagi kar len
maza jine ka aise log hi behtar uThate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.