qadam mila ke tujhe kaamyab maine kiya
qadam milā ke tujhe kāmyāb maiñ ne kiyā
ki tere ḳhvāb ko tābīr-e-ḳhvāb maiñ ne kiyā
zamāna tujh ko bahut pīchhe chhoḌ saktā thā
ye jaan le ki tujhe ham-rikāb maiñ ne kiyā
añdherā phailā to māyūsiyoñ ne gher liyā
nayā ujālā magar bāzyāb maiñ ne kiyā
mirī vafā kī badaulat mahak uThā sahrā
babūl tū ne ugāyā gulāb maiñ ne kiyā
maiñ jāntā thā ki fitrat tirī na badlegī
raqābatoñ se magar ijtināb maiñ ne kiyā
gale lagā le jo dushman ko vo farishta hai
yūñhī to tujh se nahīñ ehtisāb maiñ ne kiyā
usī kī bāñhoñ meñ TuuTe na saañs ai 'muztar'
jise masīhā samajh kar ḳhitāb maiñ ne kiyā
qadam mila ke tujhe kaamyab main ne kiya
ki tere KHwab ko tabir-e-KHwab main ne kiya
zamana tujh ko bahut pichhe chhoD sakta tha
ye jaan le ki tujhe ham-rikab main ne kiya
andhera phaila to mayusiyon ne gher liya
naya ujala magar bazyab main ne kiya
meri wafa ki badaulat mahak uTha sahra
babul tu ne ugaya gulab main ne kiya
main jaanta tha ki fitrat teri na badlegi
raqabaton se magar ijtinab main ne kiya
gale laga le jo dushman ko wo farishta hai
yunhi to tujh se nahin ehtisab main ne kiya
usi ki banhon mein TuTe na sans ai 'muztar'
jise masiha samajh kar KHitab main ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.