qadam qadam pe charagh-e-ada jalate hue
qadam qadam pe charāġh-e-adā jalāte hue
abhī abhī koī guzrā hai muskurāte hue
anā-parast haiñ tah-dāriyoñ meñ jiite haiñ
yahāñ to ronā bhī paḌtā hai muskurāte hue
phir ehtimām kareñ ham na.e charāġhoñ kā
havā guzar ga.ī saare diye bujhāte hue
shab-e-siyāh kī vus.at se ho ke be-parvā
vo baḌh rahā hai diye se diyā jalāte hue
kahīñ vajūd na kho baiThe ye samundar bhī
tumhārī ātish-e-tishna-labī bujhāte hue
bikhar na jaa.e badan bhī misāl-e-reg-e-ravāñ
guzar rahā hai havā ke thapeḌe khāte hue
use tum aañkh meñ apnī chhupā ke rakh lenā
kahīñ mile vo agar tum ko āte-jāte hue
usī pe aa gayā ilzām-e-nā-shanāsā.ī
jo zaḳhm zaḳhm huā ḳhāndāñ bachāte hue
kisī ke dast-e-hunar ke sivā nahīñ kuchh bhī
sañbhal gayā huuñ jo ai 'nūr' Dagmagāte hue
qadam qadam pe charagh-e-ada jalate hue
abhi abhi koi guzra hai muskuraate hue
ana-parast hain tah-dariyon mein jite hain
yahan to rona bhi paDta hai muskuraate hue
phir ehtimam karen hum nae charaghon ka
hawa guzar gai sare diye bujhate hue
shab-e-siyah ki wusat se ho ke be-parwa
wo baDh raha hai diye se diya jalate hue
kahin wajud na kho baiThe ye samundar bhi
tumhaari aatish-e-tishna-labi bujhate hue
bikhar na jae badan bhi misal-e-reg-e-rawan
guzar raha hai hawa ke thapeDe khate hue
use tum aankh mein apni chhupa ke rakh lena
kahin mile wo agar tum ko aate-jate hue
usi pe aa gaya ilzam-e-na-shanasai
jo zaKHm zaKHm hua KHandan bachate hue
kisi ke dast-e-hunar ke siwa nahin kuchh bhi
sanbhal gaya hun jo ai 'nur' Dagmagate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.