qadam qadam pe hai andaz dilrubai ka
qadam qadam pe hai andāz dilrubā.ī kā
sitāra auj pe hai un kī zerpā.ī kā
nahīñ hai paas masīhā ke bhī davā is kī
kisī ko rog ḳhudāyā na ho judā.ī kā
vo kohkan huuñ ajal mujh ko ḳhvāb-e-shīrīñ hai
gumāñ janāza pe hotā hai chārpā.ī kā
ḳhudā se arz karūñgā jo sāmnā hogā
butoñ kī zaat meñ jauhar hai bevafā.ī kā
hameñ kal aa.ī nahīñ aaj tak kisī pahlū
bañdhā hai jab se tasavvur tirī kalā.ī kā
janāb-e-'faiz' ye badmastiyāñ butoñ ke saath
Daro ḳhudā se ye mausam hai pārsā.ī kā
qadam qadam pe hai andaz dilrubai ka
sitara auj pe hai un ki zerpai ka
nahin hai pas masiha ke bhi dawa is ki
kisi ko rog KHudaya na ho judai ka
wo kohkan hun ajal mujh ko KHwab-e-shirin hai
guman janaza pe hota hai chaarpai ka
KHuda se arz karunga jo samna hoga
buton ki zat mein jauhar hai bewafai ka
hamein kal aai nahin aaj tak kisi pahlu
bandha hai jab se tasawwur teri kalai ka
janab-e-'faiz' ye badmastiyan buton ke sath
Daro KHuda se ye mausam hai parsai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.