qadam qadam pe hain kuchh Khaar rahguzar ke liye
qadam qadam pe haiñ kuchh ḳhaar rahguzar ke liye
ḳhushā-nasīb suhūlat to hai safar ke liye
tajalliyoñ kī tamanna to aam hai lekin
shu.ūr-e-dīd bhī lāzim hai kuchh nazar ke liye
sar-e-niyāz jhukānā to sab ko aatā hai
jabīn-e-dil kī zarūrat hai sang-e-dar ke liye
jo saath rah ke bhī tanhā.ī meñ na haa.il ho
vafā tarastī rahī aise ham-safar ke liye
ye kā.enāt tilismāt-e-hast-o-būd sahī
vajūd rakhtā hai har zarra dīda-var ke liye
sahar huī to dar-o-bām ajnabī Thahre
laḌe the ham ka.ī rātoñ se jis sahar ke liye
jabīñ jhuke to uThe naqsh-e-āstāñ le kar
ik aisā sajda hī kaafī hai umr bhar ke liye
'zamīr' dard ko kyoñ mere dil kī yaad aa.ī
rahā na jab koī dāman bhī chashm-e-tar ke liye
qadam qadam pe hain kuchh KHar rahguzar ke liye
KHusha-nasib suhulat to hai safar ke liye
tajalliyon ki tamanna to aam hai lekin
shuur-e-did bhi lazim hai kuchh nazar ke liye
sar-e-niyaz jhukana to sab ko aata hai
jabin-e-dil ki zarurat hai sang-e-dar ke liye
jo sath rah ke bhi tanhai mein na hail ho
wafa tarasti rahi aise ham-safar ke liye
ye kaenat tilismat-e-hast-o-bud sahi
wajud rakhta hai har zarra dida-war ke liye
sahar hui to dar-o-baam ajnabi Thahre
laDe the hum kai raaton se jis sahar ke liye
jabin jhuke to uThe naqsh-e-astan le kar
ek aisa sajda hi kafi hai umr bhar ke liye
'zamir' dard ko kyon mere dil ki yaad aai
raha na jab koi daman bhi chashm-e-tar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.