qadam qadam pe khaDi hai hawa payam liye
qadam qadam pe khaḌī hai havā payām liye
ki aa rahī hai ḳhizāñ apnā intizām liye
kisī faqīr kā jis ne na ehtirām kiyā
vo masjidoñ meñ milā mujh ko ehtirām liye
tire azaab meñ mar kar tire darīche se
maiñ jā rahā huuñ mohabbat kā intiqām liye
mujhe galī meñ dukhī hai faqat ziyā ya.anī
chalī ga.ī hai siyāsat duā salām liye
mujhe bhī yaad ke jugnū pukārte haiñ 'faiz'
añdherī raat meñ aksar kisī kā naam liye
qadam qadam pe khaDi hai hawa payam liye
ki aa rahi hai KHizan apna intizam liye
kisi faqir ka jis ne na ehtiram kiya
wo masjidon mein mila mujh ko ehtiram liye
tere azab mein mar kar tere dariche se
main ja raha hun mohabbat ka intiqam liye
mujhe gali mein dukhi hai faqat ziya yani
chali gai hai siyasat dua salam liye
mujhe bhi yaad ke jugnu pukarte hain 'faiz'
andheri raat mein aksar kisi ka nam liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.