qadam qadam pe lahu ka nishan rakhta hai
qadam qadam pe lahū kā nishān rakhtā hai
vo lauh-e-dil pe hasīñ dāstān rakhtā hai
daboch letā hai alfāz aur ma.ānī ko
nazar uqābī hai ūñchī uḌaan rakhtā hai
tarāshtā hai ḳhayāloñ meñ nit-na.e paikar
vo apnī fikr-e-rasā ko javān rakhtā hai
sa.ūbatoñ ke safīne meñ zinda rah kar bhī
vo zehn-o-dil kā khulā bādbān rakhtā hai
sameTtā rahā apne hī ḳhuun kī būñdeñ
jo apne haath meñ TuuTī kamān rakhtā hai
jhapaTtā hai khule jangal meñ sā.iqa ban kar
shikār bhī kahīñ ūñchā machān rakhtā hai
ye us kī zaat kī pahchān ban ga.ī hai 'ra.īs'
bhare dayār meñ ujḌā makān rakhtā hai
qadam qadam pe lahu ka nishan rakhta hai
wo lauh-e-dil pe hasin dastan rakhta hai
daboch leta hai alfaz aur maani ko
nazar uqabi hai unchi uDan rakhta hai
tarashta hai KHayalon mein nit-nae paikar
wo apni fikr-e-rasa ko jawan rakhta hai
saubaton ke safine mein zinda rah kar bhi
wo zehn-o-dil ka khula baadban rakhta hai
sameTta raha apne hi KHun ki bunden
jo apne hath mein TuTi kaman rakhta hai
jhapaTta hai khule jangal mein saiqa ban kar
shikar bhi kahin uncha machan rakhta hai
ye us ki zat ki pahchan ban gai hai 'rais'
bhare dayar mein ujDa makan rakhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.