qadam-qadam pe paraya dimagh hote hain
qadam-qadam pe parāyā dimāġh hote haiñ
ye puure log adhūrā dimāġh hote haiñ
kisī kī fikr pe labbaik ham nahīñ kahte
ham apne haq meñ ḳhud apnā dimāġh hote haiñ
javān-umr meñ Darte haiñ jo baġhāvat se
na.e saroñ meñ purānā dimāġh hote haiñ
jo pahle-pahl añdherā dikhā.ī dete hoñ
vo baad baad ujālā dimāġh hote haiñ
bahut se log to pairoñ se sar ke bāloñ tak
ba-shakl-e-jism sarāpā dimāġh hote haiñ
amīr-e-shahr kī qurbat meñ baiThne vaale
barā.e-nām hī apnā dimāġh hote haiñ
kisī kī āñkhoñ se duniyā ko dekhne vaale
kisī kī fikr kisī kā dimāġh hote haiñ
qadam-qadam pe paraya dimagh hote hain
ye pure log adhura dimagh hote hain
kisi ki fikr pe labbaik hum nahin kahte
hum apne haq mein KHud apna dimagh hote hain
jawan-umr mein Darte hain jo baghawat se
nae saron mein purana dimagh hote hain
jo pahle-pahl andhera dikhai dete hon
wo baad baad ujala dimagh hote hain
bahut se log to pairon se sar ke baalon tak
ba-shakl-e-jism sarapa dimagh hote hain
amir-e-shahr ki qurbat mein baiThne wale
barae-nam hi apna dimagh hote hain
kisi ki aankhon se duniya ko dekhne wale
kisi ki fikr kisi ka dimagh hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.