qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha
qadam-qadam pe Thaharte the Dar hī aisā thā
na tai huā kabhī ham se safar hī aisā thā
muhīb saa.e se aate rahe nazar har-sū
ye zikr-e-dasht nahīñ apnā ghar hī aisā thā
na raas aa.e haiñ aish-o-nishāt ke lamhe
nizām-e-dahr kā ham par asar hī aisā thā
koī bhī aib phaTakne na paayā paas apne
hamāre paas tilism-e-hunar hī aisā thā
hameñ ye shauq ki tūfāñ kī mauj se kheleñ
magar kināre pe laayā bhañvar hī aisā thā
yahīñ se aatī thiiñ har shab ajiib āvāzeñ
nagar se duur purānā khañDar hī aisā thā
añdherī vādiyāñ bhī ham ko jagmagātī lagīñ
hamāre paas charāġh-e-nazar hī aisā thā
har ek shaḳhs yahāñ thā mukhauTā pahne hue
tamām nagroñ meñ apnā nagar hī aisā thā
bahār aur ḳhizāñ ek se haiñ us ke liye
hamāre baaġh kā tanhā shajar hī aisā thā
na ḳham huā kisī jābir ke rū-ba-rū 'gauhar'
sadā buland rahā apnā sar hī aisā thā
qadam-qadam pe Thaharte the Dar hi aisa tha
na tai hua kabhi hum se safar hi aisa tha
muhib sae se aate rahe nazar har-su
ye zikr-e-dasht nahin apna ghar hi aisa tha
na ras aae hain aish-o-nishat ke lamhe
nizam-e-dahr ka hum par asar hi aisa tha
koi bhi aib phaTakne na paya pas apne
hamare pas tilism-e-hunar hi aisa tha
hamein ye shauq ki tufan ki mauj se khelen
magar kinare pe laya bhanwar hi aisa tha
yahin se aati thin har shab ajib aawazen
nagar se dur purana khanDar hi aisa tha
andheri wadiyan bhi hum ko jagmagati lagin
hamare pas charagh-e-nazar hi aisa tha
har ek shaKHs yahan tha mukhauTa pahne hue
tamam nagron mein apna nagar hi aisa tha
bahaar aur KHizan ek se hain us ke liye
hamare bagh ka tanha shajar hi aisa tha
na KHam hua kisi jabir ke ru-ba-ru 'gauhar'
sada buland raha apna sar hi aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.