qadam sambhal ke baDhao ki raushni kam hai
qadam sambhal ke baḌhāo ki raushnī kam hai
agar ye bhuul na jaao ki raushnī kam hai
gharoñ ko aag lagāo ki raushnī kam hai
yahīñ se baat banāo ki raushnī kam hai
javāb ye ki koī rahnumā-e-qaum haiñ aap
agar kisī ko batāo ki raushnī kam hai
sahar ko shaam samajhnā jo bas kī baat nahīñ
yahī savāl uThāo ki raushnī kam hai
sharīk-e-bazm-e-siyāsat haiñ kuchh bure chehre
zarā qarīb to aao ki raushnī kam hai
sadā lagāo ki āñkheñ ajiib ne.amat haiñ
unheñ yaqīn dilāo ki raushnī kam hai
kahīñ jhapaT na paḌeñ din meñ mash.aleñ le kar
avaam ko na sujhāo ki raushnī kam hai
ravā nahīñ ki kisī Dūbte sitāre ko
charāġh-e-rāh banāo ki raushnī kam hai
savād-e-shām ke ḳhāmosh jugnuoñ se kaho
tumhīñ charāġh jalāo ki raushnī kam hai
zarā pahuñch ke to dekho savād-e-manzil tak
tum is ḳhabar pe na jaao ki raushnī kam hai
hazār saal to rahtā nahīñ ubūrī daur
fasād ḳhuub ugaao ki raushnī kam hai
ye shā.erān-e-ġhalat-bīñ kaheñge ik din 'shād'
hameñ charāġh dikhāo ki raushnī kam hai
qadam sambhal ke baDhao ki raushni kam hai
agar ye bhul na jao ki raushni kam hai
gharon ko aag lagao ki raushni kam hai
yahin se baat banao ki raushni kam hai
jawab ye ki koi rahnuma-e-qaum hain aap
agar kisi ko batao ki raushni kam hai
sahar ko sham samajhna jo bas ki baat nahin
yahi sawal uThao ki raushni kam hai
sharik-e-bazm-e-siyasat hain kuchh bure chehre
zara qarib to aao ki raushni kam hai
sada lagao ki aankhen ajib neamat hain
unhen yaqin dilao ki raushni kam hai
kahin jhapaT na paDen din mein mashalen le kar
awam ko na sujhao ki raushni kam hai
rawa nahin ki kisi Dubte sitare ko
charagh-e-rah banao ki raushni kam hai
sawad-e-sham ke KHamosh jugnuon se kaho
tumhin charagh jalao ki raushni kam hai
zara pahunch ke to dekho sawad-e-manzil tak
tum is KHabar pe na jao ki raushni kam hai
hazar sal to rahta nahin uburi daur
fasad KHub ugao ki raushni kam hai
ye shaeran-e-ghalat-bin kahenge ek din 'shad'
hamein charagh dikhao ki raushni kam hai
- Book : Kulliyat-e-Shad Aarfi (Pg. 118)
- Author : Muzaffar Hanfi
- Publication : National Academy Delhi (1975)
- Edition : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.