Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

qadam to rakh manzil-e-wafa mein bisat khoi hui milegi

Siraj Lakhnavi

qadam to rakh manzil-e-wafa mein bisat khoi hui milegi

Siraj Lakhnavi

qadam to rakh manzil-e-vafā meñ bisāt khoī huī milegī

vahīñ kahīñ naqsh-e-pā sūrat paḌī huī zindagī milegī

milegī haañ rañg meñ ḳhizāñ ke bahār Duubī huī milegī

talāsh kar ḳhār-zār-e-ġham meñ koī to kopal harī milegī

charāġh-e-sajda jalā ke dekho hai but-kada dafn zer-e-ka.aba

hudūd-e-islām ke andar ye sarhad-e-kāfirī milegī

habāb ashkoñ ke Dhāltā kamāl-e-shīsha-garī dikhā

tujhe inhīñ nāzuk ābgīnoñ meñ dil tasvīr bhī milegī

hudūd-e-dair-o-haram se haT kar jhukā jabīn-e-niyāz apnī

ġharaz se jab be-niyāz hogā to ujrat-e-bandagī milegī

falak par ik chāñd iid roz dekhne ko kahāñ se lā.ūñ

nazar sar-mastiyāñ na pūchho kahīñ sar-e-bām milegī

uThā bhī ab parda-e-takalluf samā bhī dil meñ dard ban kar

rahūñgā kab tak maiñ yūñhī behis kabhī mujhe zindagī milegī

hai jor-e-sayyād sadqa chaman hañgāma-āfrīnī

tabāhiyāñ jis jagah pe hoñgī vahīñ kahīñ zindagī milegī

vahī lab-e-ḳhushk par kuchh aaheñ vahī un āñkhoñ meñ kuchh namī

mujhe muqaddar se jab milegī matā-e-be-mā.igī milegī

raheñ salāmat satāne vaale ye hashr to roz hogā barpā

'sirāj' lekin sitam-rasīdoñ sabr daad bhī milegī

qadam to rakh manzil-e-wafa mein bisat khoi hui milegi

wahin kahin naqsh-e-pa ki surat paDi hui zindagi milegi

milegi han rang mein KHizan ke bahaar Dubi hui milegi

talash kar KHar-zar-e-gham mein koi to kopal hari milegi

charagh-e-sajda jala ke dekho hai but-kada dafn zer-e-kaba

hudud-e-islam hi ke andar ye sarhad-e-kafiri milegi

habab ashkon ke Dhaalta ja kamal-e-shisha-gari dikha tu

tujhe inhin nazuk aabginon mein dil ki taswir bhi milegi

hudud-e-dair-o-haram se haT kar jhuka jabin-e-niyaz apni

gharaz se jab be-niyaz hoga to ujrat-e-bandagi milegi

falak par ek chand id ka roz dekhne ko kahan se laun

nazar ki sar-mastiyan na puchho kahin sar-e-baam hi milegi

uTha bhi ab parda-e-takalluf sama bhi ja dil mein dard ban kar

rahunga kab tak main yunhi behis kabhi mujhe zindagi milegi

hai jor-e-sayyaad hi ka sadqa chaman ki hangama-afrini

tabahiyan jis jagah pe hongi wahin kahin zindagi milegi

wahi lab-e-KHushk par kuchh aahen wahi un aankhon mein kuchh nami si

mujhe muqaddar se jab milegi mata-e-be-maigi milegi

rahen salamat satane wale ye hashr to roz hoga barpa

'siraj' lekin sitam-rasidon ki sabr ki dad bhi milegi

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now