qadam ziyaada andhere agar baDhaenge
qadam ziyāda añdhere agar baḌhā.eñge
charāġh apne lahū se jalā.e jā.eñge
tamām dahr ke jalve hoñ sāmne lekin
ham apne dil se tujhe kis tarah miTā.eñge
bas ek jast meñ kar deñge ye chaman vīrāñ
junūñ hamārā agar aap āzmā.eñge
mujhe bhī vaqt kī zanjīr rok letī hai
use bhī rāste shāyad idhar na lā.eñge
zamāna pūchh le jitnā tabāhiyoñ kā sabab
magar ye raaz kisī ko nahīñ batā.eñge
unheñ ye jabr kī tarkīb āzmāne do
ki ham tarāna-e-ulfat hī gungunā.eñge
qadam ziyaada andhere agar baDhaenge
charagh apne lahu se jalae jaenge
tamam dahr ke jalwe hon samne lekin
hum apne dil se tujhe kis tarah miTaenge
bas ek jast mein kar denge ye chaman viran
junun hamara agar aap aazmaenge
mujhe bhi waqt ki zanjir rok leti hai
use bhi raste shayad idhar na laenge
zamana puchh le jitna tabahiyon ka sabab
magar ye raaz kisi ko nahin bataenge
unhen ye jabr ki tarkib aazmane do
ki hum tarana-e-ulfat hi gungunaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.