qadmon ke tere bikhre hue jo nishan hain
qadmoñ ke tere bikhre hue jo nishān haiñ
guzrī huī bahāroñ ke ye tarjumān haiñ
rāh-e-najāt duur bahut duur ho ga.ī
phir kal ke dost aaj mire ham-'inān haiñ
ab aur apnī zaat kī tausī.a kyā kareñ
ham ḳhud simaT ke aap zamān-o-makān haiñ
gard-o-ġhubār-e-manzil-e-maqsūd ban ke ham
aks-e-jamāl-e-ā.ina-e-kārvān haiñ
ab is khañDar meñ diip jalāte ho kyoñ 'shafīq'
āshāoñ ke mahal jo the vīrāñ makān haiñ
qadmon ke tere bikhre hue jo nishan hain
guzri hui bahaaron ke ye tarjuman hain
rah-e-najat dur bahut dur ho gai
phir kal ke dost aaj mere ham-'inan hain
ab aur apni zat ki tausia kya karen
hum KHud simaT ke aap zaman-o-makan hain
gard-o-ghubar-e-manzil-e-maqsud ban ke hum
aks-e-jamal-e-aina-e-karwan hain
ab is khanDar mein dip jalate ho kyon 'shafiq'
aashaon ke mahal jo the viran makan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.