qadmon se mere gard-e-safar kaun le gaya
qadmoñ se mere gard-e-safar kaun le gayā
manzil pe rāste kī ḳhabar kaun le gayā
rū-e-ufuq se nūr-e-sahar kaun le gayā
is auj tak kamand-e-nazar kaun le gayā
rakh dī ga.ī thī qadmoñ pe us ke utaar kar
dastār jāntī hai ki sar kaun le gayā
is sat.h par kise thā mirī zaat kā shu.ūr
itnī tahoñ meñ aa ke guhar kaun le gayā
sūkhe daraḳht nezoñ kī sūrat gaḌe hue
vo barg o gul vo shāḳh o samar kaun le gayā
qadmon se mere gard-e-safar kaun le gaya
manzil pe raste ki KHabar kaun le gaya
ru-e-ufuq se nur-e-sahar kaun le gaya
is auj tak kamand-e-nazar kaun le gaya
rakh di gai thi qadmon pe us ke utar kar
dastar jaanti hai ki sar kaun le gaya
is sath par kise tha meri zat ka shuur
itni tahon mein aa ke guhar kaun le gaya
sukhe daraKHt nezon ki surat gaDe hue
wo barg o gul wo shaKH o samar kaun le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.