qadmon tale tu dekh ke mujhko na tanz kar
qadmoñ tale tū dekh ke mujh ko na tanz kar
saaya huuñ din Dhalā to maiñ hūñgā tavīl-tar
ik chīḳh dab ke rah ga.ī na.aroñ ke shor meñ
aage julūs baḌh gayā ik laash rauñd kar
Dartā huuñ sun ke sub.h ke qadmoñ kī āhaTeñ
maiñ ek zard raat kā huuñ āḳhirī pahar
chāroñ taraf hai aag ta.āqub meñ aap ke
behtar yahī hai jā.iye dariyā meñ ab utar
'ikrām' ek dard kā is dil meñ hai nivās
ābād ek sant ke dam se hai ye khañDar
qadmon tale tu dekh ke mujh ko na tanz kar
saya hun din Dhala to main hunga tawil-tar
ek chiKH dab ke rah gai naron ke shor mein
aage julus baDh gaya ek lash raund kar
Darta hun sun ke subh ke qadmon ki aahaTen
main ek zard raat ka hun aaKHiri pahar
chaaron taraf hai aag taaqub mein aap ke
behtar yahi hai jaiye dariya mein ab utar
'ikram' ek dard ka is dil mein hai niwas
aabaad ek sant ke dam se hai ye khanDar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.