qafas ke hosh uDte ja rahe the
qafas ke hosh uḌte jā rahe the
parinde par katarte jā rahe the
ḳhamoshī shor kartī jā rahī thī
so ham channel badalte jā rahe the
idhar bhī zindagī bas kaT rahī thī
udhar bhī peḌ girte jā rahe the
na jaane zehn meñ kyā chal rahā thā
sabhī ko kaal karte jā rahe the
hamārī jaan bhī girvī paḌī thī
hamāre log marte jā rahe the
sivā ik shor ke manzil nahīñ kuchh
lihāzā aks chalte jā rahe the
qafas ke hosh uDte ja rahe the
parinde par katarte ja rahe the
KHamoshi shor karti ja rahi thi
so hum channel badalte ja rahe the
idhar bhi zindagi bas kaT rahi thi
udhar bhi peD girte ja rahe the
na jaane zehn mein kya chal raha tha
sabhi ko kal karte ja rahe the
hamari jaan bhi girwi paDi thi
hamare log marte ja rahe the
siwa ek shor ke manzil nahin kuchh
lihaza aks chalte ja rahe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.