qafas khola tha maine aaj jab panchhi uDane ko
qafas kholā thā maiñ ne aaj jab panchhī uḌāne ko
parinda ruk gayā ik jail ke qissa sunāne ko
ye tanhā.ī ghuTan aur bebasī kamre meñ phailī hai
rakhī thī chhat pe āñkheñ do kabhī ham ne sukhāne ko
daraḳhtoñ kī vo parchhā.ī vo āñgan kā khulā honā
kahāñ aatī hai ab chiḌiyā gharoñ meñ chahchahāne ko
mire pairoñ kī ye zanjīr us pal chhan-chhanā uThī
hilāyā pair jab bhī ḳhvāb meñ paa.el bajāne ko
ḳhamoshī ye mere andar kī shab bhar raqs kartī hai
maiñ gaatī loriyāñ aur thapkiyāñ detī sulāne ko
ga.ī thī āsmāñ pe maiñ jo chhūne chāñd aur taare
faqat jugnū lage haiñ haath mere jagmagāne ko
kitāboñ se yaqīnan jī 'hiyā' ab bhar gayā hogā
vo muddat baad lauTā hai mirā dar khaTkhaTāne ko
qafas khola tha main ne aaj jab panchhi uDane ko
parinda ruk gaya ek jail ke qissa sunane ko
ye tanhai ghuTan aur bebasi kamre mein phaili hai
rakhi thi chhat pe aankhen do kabhi hum ne sukhane ko
daraKHton ki wo parchhai wo aangan ka khula hona
kahan aati hai ab chiDiya gharon mein chahchahane ko
mere pairon ki ye zanjir us pal chhan-chhana uThi
hilaya pair jab bhi KHwab mein pael bajaane ko
KHamoshi ye mere andar ki shab bhar raqs karti hai
main gati loriyan aur thapkiyan deti sulane ko
gai thi aasman pe main jo chhune chand aur tare
faqat jugnu lage hain hath mere jagmagane ko
kitabon se yaqinan ji 'hiya' ab bhar gaya hoga
wo muddat baad lauTa hai mera dar khaTkhaTane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.